Tuesday, July 27, 2010

Jindagi to Jindagi hai…..kabhi hasati hai ……..aur kabhi rulati hai
Thodi khatti hai ….thodi mithi hai
Mano to bozil hai aur mano to Jindadil hai
Kafi sari Chahat hai aur……aur thodi si nafrat hai
Kuch khushiya hai …aur thodasa gum bhi hai

Kuch yaden hai jo hasati hai …..aur kuch hai jo rulati hai
Kabhi kabhi vo rulane vali yaden bhi badi apni lagti hai
Jindagi to Jindagi hai ….. kabhi hasati hai ……..aur kabhi rulati hai

Kabhi tuze yaad karna bada achha lagta hai…..aur
Kabhi teri yaad satane lagti hai…. kabhi teri yaad Jine ki wajah hoti hai aur ….
Kabhi ye Jindagi tere bagair Bewajah lagne lagti hai
Jindagi to Jindagi hai……. kabhi hasati hai ……..aur kabhi rulati hai

Kabhi man jata hai dur Samandar ki Lehro pe….. Yaad aati hai vo cipiya jo hamne dhundi thi us ret mein sath me…..aur banaya tha hamne ret pe Ek chotasa sapno ka ghar………waqt ki Lehro ne ab use mita diya hai………yaad kar ke mai apne aap me rota hu…… aur fir thak ke so jata hai kinare ki ret par………. Jindagi to Jindagi hai……. kabhi hasati hai ……..aur kabhi rulati hai

Yaad hai Jab tumne uthaye the vo rang birangi pathhar samandar ki ret se aur muze diye the sambhalne ke liye …………Aaj bhi vo pathhar mai sine se lagaye ghumta hu…..aur aisa lagta hai mai bhi ek pathhar ho gaya hu………. Jindagi to Jindagi hai………. kabhi hasati hai ……..aur kabhi rulati hai

Yaad hai jab samandar ne bade fakr se muze Moti dikhaye the aur maine uske sath shart lagayi thi ki inse achhe moti mere paas hai…..aur jab maine tumhari Badi Badi masum Aankhe use dikhayi thi to bechara apne aap me simat gaya tha ……. Suna hai log use “ Low Tide “ kehte hai..
Uske simatne ka raj to sirf tumhe aur muze pata hai ……….. Jindagi to Jindagi hai…… kabhi hasati hai ……..aur kabhi rulati hai

Garmi ki dopahri me sabki najro se bachte bachate jab ham milte the us Darakht ke niche …
To aksar mai soch me pad jata tha ki ye thandak us Darakht ke chhav ki hai ya tumhare Gesuo ki
Ab bhi har garmi me mai aksar us Darakht pe jata hu par ab vo sukh gaya hai aur khud hi kisi chhav ki talash me hai
Shayad ab garmiya kuch jyada tej ho gayi hai…..aur un Lamho ko yaad karke uska bhi dum ghutane lagta hai………..
Jindagi to Jindagi hai……. kabhi hasati hai ……..aur kabhi rulati hai

Mai un Lamho ko bhulana chahta hu …..aur vo Lamhe muze Rulana chahte hai

No comments:

Post a Comment