Thursday, July 29, 2010

Mai Safar Karta hu…………………..mai Suffer karta hu

Mai safar karta hu is sheher se us sheher tak is gaon se us gaon tak…………mai suffer karta hu is Rishte se us Rishte tak, us Lamhe se is Lamhe tak
Kabhi kisi wajah se karta hu kabhi bewajah karta hu, kabhi is Kirdar me karta hu kabhi us Kirdar me karta hu…………….kabhi ye Naukar ka hota hai jab Hukmran hukm Karte hai…. To kabhi ye Money making machine ka hota hai jab mai Paisa kamata hu… kabhi ye Maskhare ka hota hai jab mai kisi ko Hasata hu … aur kabhi Benakab hota hai jab mai apne aap pe Rota hu……….... mai safar karta hu……mai Suffer karta hu
Mai Aksar akela mehsus karta hu tab Apno ko call karta hu, log busy hote hai … koi Film dekhta hai to koi TV, kisi ke yaha guest aaye hote hai, koi meeting mai baitha hota hai, to koi aur kisi ke sath hota hai, ye sab bhi muze bad me malum hota hai, mai gussa nahi hota hu….ya Shayad nahi ho sakta hu, ye sare reason Genuine hote hai, important bhi hote hai, mai aur Jyada Akela ho jata hu ……….... mai safar karta hu……mai Suffer karta hu
Mai idea share karta hu koi aur award jit jata hai, mai kam karta hu koi aur wahwahi loot jata hai, mai kisi project pe kam karta hu complete hone ke waqt muze hatake kisi aur ko waha bithaya jata hai, ye sab hone ke bad log kehte/sochte hai ki mai kam nahi karta hu……….aisa nahi hai ki muzme Ladhne ki takat nahi ……par mai unki Level tak gir ke Ladhna nahi chahta…..mai Khud ki najar me to nahi gir sakta na………….... mai safar karta hu……mai Suffer karta hu
Mai logo ko Hasata hu…..unhe achha lagta hai, mai unke dard zel jata hu to mai unhe achha lagta hu, mai unhe rone ke liye Kandha deta hu unhe achha lagta hu……..par jab mai Taklif me hota hu, bada akela mehsus karta hu to muze apne aas pas koi najar nahi aata……mai apne aap ko dhundane lagta hu……….... mai safar karta hu……mai Suffer karta hu
Kabhi Log muze call karte hai muze achha lagta hai………..kuch der me samaz me aata hai .. koi time pass karna chahta hai to koi uski Taklif sunana chahta hai,kisi ko Paise ki Jarurat hai, kisi ko koi Khabar chahiye kisi ko ummid hai ki MAI USE HASAU…….kabhi mai kar pata hu to log bade khush hote hai ……kabhi thak jata hu…..nahi kar pata hu………mai bura ban jata hu……….... mai safar karta hu……mai Suffer karta hu
Log Face book pe Friend request bhejte hai ……. Kuch der bada achha lagta hai…….phir samaz me aata hai ki vo meri Jindagi me Zakna chahte hai……….... mai safar karta hu……mai Suffer karta hu
Kabhi Log mera halchal puchte hai, pata karte hai ki muze koi Taklif to nahi, bada achha lagta hai……fir kabhi samaz me aata hai ….vo koi Khabar chahte hai jiska Gossip banaya ja sake, uski chewing gum bana ke use chaba sake……….... mai safar karta hu……mai Suffer karta hu
Kabhi apne muze sath me le jate hai……to kabhi muze unhe manana padta hai sath jane ke liye…….kabhi vo thukra dete hai to kabhi ha karte hai….. mai kuch der ke liye Khush hota hu kyoki tab mai Akela nahi hota hu , thoda der mai unki Manzil aati hai , mai waha se Akela wapas aata hu tab bada tuta huwa mehsus karta hu……….... mai safar karta hu……mai Suffer karta hu
……….... mai safar karta hu……mai Suffer karta hu…. Mai usi Ghar ke pate pe Aksar jata hu taxi wala muze Loot leta hai par muze fark nahi padta hai Kyoki ya to mai tumhare sath hota hu ya tumse milne jata hu…… aur mai Taxi wale ke Genuineness pe bhi Khush hu vo Dil laga ke Dhanda kar raha hai, kam se kam Mask to nahi laga raha hai, muze vo apna lagne lagta hai……….... mai safar karta hu……mai Suffer karta hu

1 comment:

  1. Padh ke achcha laga..lekin thoda depressing laga itna dard aur gussa kyon daba ke rakha hai...but bahot badhiya prayaas...( main to aise comment de raha hunh jaise ki main bada writer hunh)
    Vakt milne par kripaya yahan bhi shirkat karen :
    http://crohit72.blogspot.com

    ReplyDelete